Aao Lay Jao Meray Dil Kay Khazaanain
Meri Zindagi Ka Haasil Yeh Meray Taraanay
Tanhaaion Ka Zahar Piya Hai Is Amrit Kay Liyay
Tanz-O-Fikron Main Jia Hai Is Amrit Kay Liyay
Barti Gai Barti Gayi Aur Talaash Tab Junoon Ho Gayi
Meri Deewangi Mehfilon Main Hansi Ka Majmoon Ho Gayi
Uqta Kay Uth Gaya Har Aashnaa Kareeb Say
Aur Zindagi Ruk Gayi Us Manzar Ajeeb Pay
Ik Taraf Urnay Ki Lalak
Ik Taraf Zameen Ki Pakar
Ik Taraf Nain Dunia Ka Shauq
Ik Taraf Ajnabiyat Ka Khauf
Magar Phir Khudi Nay Behoshi Ki Aakhri Zanjeer Bhi Tor Di
Paron Main Hosh Ka Dum Bhar Aasmanon Say Hor Li
Nigaah Phir Uth Hayi Jeet Haar Kay Swaal Say
Ufq Dar Ufq Barta Gaya Noor Hosh Kay Jmaal Say
Phir Dil Dil Lay Kar Gaya Yeh Vus_at-E-Ehsaas
Behosh Sub Hujoom Thay Laut Aayaa Main Udaas
Tanhaaion Main Magar Abhi Bhi
Umeed Ki Lau Jalti Hai
Meaning: Vus_at-E-Ehsas– Ehsasat Ki Vishalta