Aao Ik Khel Khelte Hein Khel Mohabbat Ka
Jis Main Tum Mujhey Chaho
Main Tumhein Chahon Aur Kuch Nahi Bas Khel Ho Ga
Tum Ghabrana Nahi Tum Darna Nahi
Ki Is Khel Main Bhi Main Tumharey Saath Rahon Ga
Zayada Nahi Toh Kuch Dair To Sahi
Par Khel Ho Ga‚  Tum Ghabrana Nahi
Main Pyar Se Tumharey Pass Aoon Ga
Tum Se Izhar-E-Mohabbat Keron Ga
Ik Phool Doon Ga Tum Ko Kaan Main Kuch Keh Jaon Ga
Phir Intazar Keron Ga Tumhara Main
Tum Kya Socho Gi Kya Kaho Gi
Be Chaen Rahon Ga Sochta Rahon Ga Main
Tum Thora Sa Itra Jana Thori Si Shararat Thora Sa Bahana Banana
Mere Izhar Ko Beshak Seeney Se Lagana
Par Thora Sa Itra Jana Tum Na Kehna Kuch Dair Talak
Ke Tum Bhi Chahti Ho Mujhe Kuch Dair Talak Tum Mujh Ko
Thora Sa Tarpana Phir Main Jab Uth Ker Janey Lagoon
Toh Roak Lena Mujh Ko Haath Thamna Mera
Tum Bhi Keh Dena Keh Dena Key Tum Ko Mujh Se Mohabbat Hai
Main Sunon Ga Itemenan Se Bade Maan Se
Par Toofan Ho Ga Ik Uchalta Hua Mann Main
Tumhain Bahon Main Bharney Ka
Pass Apney Bithaney Ka Phir Yun Ho Ga Ke Ham Tum Dono
Kisi Darakht Ke Taney Sa’ey Taek Lagaye
Khawahison Key Kuch Diye Jalaye
Aik Dojey Ke Kareeb Atey Jain Gai..
Kuch Keh Na Paein Gey Yehi Kerna Hai Bas Is Khel Main
Tum Ghabrana Nahi Tum Darna Nahi
Key Yeh Faqat Ik Khel Ho Ga Khel Ho Ga Aur Bas
K Kismat Ki Lakeeron Se Shayad Tujhey Main Pa Nahi Sakta
Toh Yeh Khel Hee Sahi Zayda Nahi Toh Kuch Dair Hee Sahi