Aankhon Mein Panapte Hain Khwaab,
Fir Bhi Wo Aankhon Ko Rulaate Hain..
Aagosh-E-Tasavvur Ke Kai Rang Hai,
Dil Mein Wo Ummiden Jagaate Hain..
Aagosh-E-Tasavvur :imagination ,Dreams
Zulf-E-Yaar Mein Hum Yuun Khoye,
Absaar Mein Kai Sapne Sajaate Hain..
Absaar:eyes, Zulf-E-Yaar:beloved’s Hair
Dil-E-Dastaan Kuch Aisi Hai Hamarii,
Tasalliyon Se Dil Ko Manaate Hain..
Aisi Chaahat Ko Hum Kya Kahen,
Ahal-E-Ishq Khud Ko Azmaate Hain..
Ahal-E-Ishq:people Who Love
Lakh Ahzaan Ho Chaahe Is Safar Mein,
Aab-E-Chasm Ko Unse Chhupate Hain..
Ahzaan : Sorrow ,Aab-E-Chasm: Tears
Maharam-E-Dil Hai Wo Meri Jist Mein.
Usko Hi Apna Haal-E-Dil Sunaate Hain..
Maharam-E-Dil ne Who Is Close To The Heart