Aankhon Mein Aanson Ko Chupana Aasan Nahi
Jo Dil Ke Jazbaat Hai Unhe
Hoothon Tak Laana Aasan Nahi
Dard Kuch Youn Hua Ke Hum Hasna Bhul Gaye
Badal Gaye Armaan Hum Too Roona Bhi Bhul Gaye
Kyun Aate Hai Zindagi Mein Aaise Bhi Lamhe
Tanha Chalna Parta Hai Jab Duniya Saath Mein Ho
Es Dil Ko Koi Mere Jism Se Nikal Kar Faink De
Bahot Tadpata Hai Aur Jab Rona
Chahon Too Jhuthi Muskurahten Deta Hai
Kyun Banai Khuda Ne Waqt Ki Dori
Kabhi Kuch Deta Hai Yeh Waqt Too
Kabhi Sab Kuch Cheen Leta Hai
Ittna Bara Too Humara Dil Nahi Ke Sab Kuch Seh Jaye
Kabhi Too Dua Karti Hoon Ke Kassh Hum Khamosh Ho Jaye
Jab Koi Dard Ho Too Yeh Zindagi Nahi Rukti
Woh Bewafaa Hi Sahi Aj Unhe Dekh
Kar Meri Sansen Kyun Nahi Rukti
Jab Main Unhe Pyaar Se Dekha Karti Thi
Tab Woh Dhere Se Apni Nazrein Jhuka Liya
Karte Thay Lakin Aaj Unki Nazrein Kyun Nahi Jhukti
Zindagi Se Hum Samjhota Kar Lenge
Woh Na Milega Tab Bhi Hum Jee Lenge
Nazroon Ko Mere Dil Ko Un
Ka Intezaar Hoga Shaam-O-Seher
Lakin Hum Unki Rahoon Se Kabhi Nahi Guzarenge
Dekhenge Unhe Chup Ke Se
Lakin Aawaz Dekar Un He Hum Kabhi Nahi Jagaenge
Kassh Meri Zindagi Usse Lamhe Mein Tham Jati
Gar Woh Mere Samne Hota
Too Sari Duniya Meri Ho Jati
Lakin Aaj Hum Juda Ho Gaye
Aur Muskurate Hue Hum Sapnon
Ki Duniya Mein Khoo Gaye
Haar Khowish Ko Dafan Kar Kay Jeena
Khushiyon Ko Unke Daman Mein Rakh Kar Aanso Peena
Haar Dard Ko Bhula Dena Aasan Nahi
Milenge Jo Bhi Chehre Sirf
Un Ka Hi Chehra Tarashna
Haar Paathar Ko Insaan Banana
Dard Sehte Hue Aankhon Mein
Aanson Ko Na Lana Aur Muskurate Rehna
Dil Roota Hai Lakin Jazbaat Ko
Apne Tak Hi Rakhna Aasan Nahi