Aankh Khuli To Her Taraf Thaa Murdangi Ka Nizaam
Aatshi Bosay Day Rahi Thin Jaisay Suraj Ki Shuaain
Nohagar Thay Jaisay Subah Ki Thandi Hawa Kay Jhonkay
Her Phul Main Thaa Bharaa Jaisay Gehray Sog Ka Rang
Fazaa Main Jal Rahi Thin Jaisay Her So Chitaain
Ruh Pay Chirak Diya Ho Jaisay Kisi Nay Bekasi Ka Tezaab
Badan Kay Her Por Main Thi Jaisay Meelon Ki Thakaan
Wajud Shdeed Afsurdgi Main Thaa Girftaar
Aur Teergi Dil-O-Jaan Ki Barhi Jaati Thi
Dil-O-Dimaagh Pay Ik Wehshat Si Charhi Jaati Thi
Hayaat Inthaa Bezaar Si Hui Jaati Thi
Pakar Main Nahi Aa Raha Thaa Is Zulmat Ka Koi Sira
Raqsfarma Thaa-J-Khud Jaisay Rusiyaah Iblees
Kyaa Karun Kay Karun Is Dil Ki Wahshat Ka Main Kyaa Karun?
Kyaa Karun Kyaa Karun Ta-Ufaq Phailee
Iss Dehshat Ka Main Kyaa Karun? Kyaa Karun?