Aankh Band Hai To Har Taraf Khushian Hai,
Woh Hawa Kay Sang Pholon Ki Lehrati Khusboo,
Un Darakhton Par Cidhya (Bird) Ki Meethi Si Gungunati Aawaz,
Woh Chehron Par Muskura-Hatain, Jin Ki Aankhon Main Khwab Basay Hain,
Door Us Veeranay Main, Ek Umeed Ki Kiran Dikhai Deti Hai,
Jab Aank Khuli, Toh, Sab Kuch Anjanm, Khaali Sa Ho Gaya,
Woh Khushian, Baharain, Muskurahatain, Kahan Ga-Ain,
Un Aankhon Kay Is Gehray Samandar Main,
Kahin Door Doobti Chali Jaa Rahi Hain,
Unhain Roko, Mitne Naa Do Koi,
Kahin Aaj Ka Din Bhi Kahin, Aik Khwab Naa Ban Jaye,
Koi Waqt Ki Iss Raftar Ko Roko,
Kay Kisi Nay Aaj Shaan Lauthnay(Return) Ka Waada Kiya Hai,
Kahin Yeh Umeed Ki Kiran, Un Khwaabon Ki Tarha
Aik Aas Ka Bahana, Is Zindagi Kay Liye,
Naa Khatam Hone Wala Intezar, Aik Khwaab Naa Ban Jaye