Aakhree Chand Din December Kay
Hur Baras Hi Giraan Guzartay Hain
Khahishoon Kay Nigaarkhanay Main
Kaisay Kaisay Guman Guzartay Hain
Raftagaan Kay Bikhartay Saalon Ki
Aik Mehfil Si Dil May Sujtee Hay
Phone Ki Diary Kay Safhoon Say
Kitnay Number Pukartay Hain Mujhay
Jin Say Murboot Benawa Ghantee
Ab Faqut Meray Dil May Bujtee Hay
Kis Qadar Piaray Piaray Naamoon Per
Raingtee Budnuma Lakeerain See
Meri Aankhoon Main Phail Jaatee Hain
Doorian Daairay Banati Hain
Hur December Kay Aakhree Din Main
Hur Baras Ki Tarha Say Ab Kay Bhi
Diary Ik Sawal Kerti Hay
Kiya Khaber Is Baras Kay Aakhir Main
Meray In Bechirag Safhoon Say
Kitnay Hi Naam Kut Gaiy Ho Gain
Hur December Main Sochta Hoon May
Aik Din Istarha Bhi Hona Hay
Rang Ko Roshnee Main Khona Hay