Aajkal Aisa Aadmii Kyuun Hai
Uski Baaton Mein Tangdilii Kyuun Hai
Dard Ka Daur Har Ghadii Kyuun Hai
Mukhtasar Si Harik Khushii Kyuun Hai
Har Ghadee Poochta Hai Dil Mujhse
Uski Ulfat Mein Berukhii Kyuun Hai
Itna Sab Zindagii Mein Paakar Bhii
Khud Se Mehroom Aadmii Kyuun Hai
Zindagi Ko Naye Jo Dein Maanii
Un Khayalon Ki Ab Kamii Kyuun Hai
De Gaya Kitnii Talkhiyaan Phir Bhii
Uski Yaadon Mein Dilkashii Kyuun Hai
Ik Samandar Ke Paas Rehta Hoon
Phir Bhi Ehsaas-E-Tashnagii Kyuun Hai
Ussey Bichade Huve Hua Arsaa
Ab Talak Aankh Mein Namii Kyuun Hai
Lag Gayii Hai Nazar Isey Kiskii
Sehmi-Sehmi Si Ye Sadii Kyuun Hai
Daur-E-Nau Mein Yaqiin Mohabbat Pe
Jaane Mujhmein Hii Ye Kamii Kyun Hai
Soch Ko Uski Kya Hua Hai -Ë—praveen-‘
Gum Khayalon Se Roshnii Kyuun Hai