Aaj Wo Akhri Tasveer Jaladi Hum Ne
Jis Se Us Shehar K Pholon Ki Mehak Ati Thi
Jis Se Be Noor Khayalon Pa Chamak Ati Thi
Kaba Rehmat Asnam Tha Jo Mudat Se
Aaj Us Qasr Ki Zanjer Hiladi Hum Ney
Aag‚  Kaghaz‚  Ky Chamkty Huy Siny Pay Bardhi
Khuwab Ki Lehar Main Behty Huey Aaey Sahil
Muskuraty Huy Honton Ka Sulagta Hua Karb
Sarsaraty Huy Lamhon Ky Dharkty Huey Dil
Jagmagaty Huy Awezon Ki Mubham Faryad
Dashty Ghurbat Main Ksi Hujla Nasheen Ka Mehmal
Aik Din Roh Ka Har Tar Sada Deyta Tha
Kash Hum Bik K Bhi Ais Jinsy Giran Ko Palain
Khud Bhi Khojaen Par Us Ramzy Nehan Ko Palain
Aqal Aus Hure K Chehry Ki Lakiron Ko Agar
Aa Mitati Thi To Dil Or Banadyta Tha
Or Ab Yad K Us Akhri Paykar Ka Tilasm
Kisa Rafta Bana Zest Ki Maton Sey Hua
Dore Ik Kheyt Pay Badal Ka Zara Sa Tukra
Dhoop Ka Dher Hua Dhop Ky Haton Sy Hua
us Ka Pyar us Ka Badan us Ka Mehakta Hua Roop
Aag Ki Nazr Hua, Or Inhi Batoon Se Hua