Aaj Udhas Hoon To Zamana Mujhey Phochne Aya
Magar Jis Pe Tha Sadiyon Ka Bharam Woh Nahi Aya
Woh To Ek Khuwaab Tha Toot Gaya Bikhar Gaya Hai
Ajj Udhas Lamhon Main Phir Kyon Mujhe Woh Yaad Aya
Zindagi Ki Musafit Ke Woh Chand Din Jo Guzar Chuke Hain
Na Hi Un Pe Urooj Aya,Our Na Hi Un Pe Zawaal Aya
Bhool Na Chahta Hoon Har Lamha,Har Waqt Jo Guzar Gaya Hai
Jitna Bhi Roka Woh Waqt Utna Mere Sath Chala Aya
Guzra Hua Kal Na Tha Mera,Na Hai Mera Our Na Ho Ga Kabhi
Yeh Mein Janta Hoon Magar Phir Bhi Na Dil Ko Karaar Aya
Woh Wade Teray Woh Kasmein Woh Sab Yaad Hain Mujhe
Magar Phir Bhi Kabhi Tum Ko Mera Dil Na Bhula Paya
Aana Paye The Tum To Khudaar Tha Main Bhi
Yeh Rishta Hi Humare Dermiyan Na Raas Aya
Us Ki Muskurahat Tere Liye Ek Fareb Thi
Tu Tha Nadan,Dil Tera Usse Na Samajh Paya