Aaj Tere Dar Pe Mein Zindagi Ki Hishaab-Kitaab Karane Aaya Hu,
O Khuda, Tune Jo Kiya Aur Mein Jo Kiya Unaka Hishaab Lene Aaya Hu.
Duniya Vaalo, Bada Hi Sunahara Mouka He Aaj, Fayada Uthaalo,
Aapake Baazaar Me Aaj Mein Apane Usoolo Ko Bechane Aaya Hu.

Saaki, Aankho Se Pine Ki Laalach Me Thokar Maar Ke Chala Gaya Tha
Aaj Niraash Hokar Lauta Hu, Phir Se Teri Mahefil Me Beithane Aaya Hu.
Aakhir-Kaar Wo Meri Hi To Den He, Mein Kyu Na Jaau Dekhane
Mujase Juda Hone Ke Baad Tere Chahere Par Aaye Nikhaar Ko Dekhane Aaya Hu.
Us Duniyaa Me To ” Shyam” Sach Me Ghoot Ke Mar Jaayega Jaldi Hi
Apanaalo Mujhe Yaaro, Mein Aapaki Duniya Me Basane Aaya Hu