Aaj Sunata Hoon Baat Un Logon Ki
Jo Humse Khaar Bahut Khaate Hain
Dosti Chaahe Kar Naa Sakein
Par Dushmani Dil Se Nibhaate Hain
Jo Nibha Na Paayein Wafa Kisi Se
Jas, Gadaar Wohi To Kehlaate Hain
Chhup Ke Karte Hain Waar Yeh Bhediye
Phir Bheid Ki Khaal Mein Chhup Jaate Hain
Jinka Mann Maila Or Soch Bhi Maili
Woh Khud Ko Saadhu Sa Dikhaate Hain
Kaam Hain Jinke Shaitaano Se
Woh Khud Ko Maasoom Bataate Hain
Woh Loot Kar Ghar Hamara Doston
Chor Humein Hi Thehraate Hain
Khud Dete Hain Yeh Dhoka Humko
Or Ilzaam Humi Par Lagaate Hain
Yeh Karte Hain Beizzat Unhe Hi
Jo Inki Laaj Ko Bachaate Hain
Yeh Log Ched Usi Mein Karte Hain
Jis Bhi Thaali Mein Khaate Hain
Kya Baat Karein Hum Gairon Ki
Yeh Apno Ke Nahi Ho Paate Hain
Apni To Rahi Hai Shuru Se Aadat
Hum Neiki Kar Dariya Main Bahaate Hain