Aaj Subah Parde Hata Diye, To Tum Sooraj Ke Kirnomein Najar Ayee
Jaise Mere Gharmein Roshni Mein Tum Chayee Huee Thi
Meri Nigahonmein Tum Simatne Lagi Thi
Faasle Kuch Kam The To Kuch Jiyada Bhi The
Tum Dikhaye Bhi De Rahi Thi Par Nazar Bhi Nahi Aa Rahi Thi
Main Waha Pahunchta Tha Jaha Tum Khadi Thi
Fir Tum Kuch Door Nazar Aa Rahi Thi
Main To Sirf Koshishe Kar Raha Tha Jaise Tuzhe Paaneki
Tum Fir Kabhi Zameen Pe Khadi Thi To Kabhi Aasman Mein Ud Rahi Thi….
Main Bhi Kabhi Zameen Pe Khada Hota Tha To Kabhi Aasman Mein Udta Tha
Yehi Silsile Jaari The, Kabhi Dohraye Jaate The
Kahte Hain, Baazi Palatnemein Der Nahi Lagti
Magar Palti Hue Baazi Apnanemein Bhi To Der Nahi Lagti
Yehi Silsile Jaari The, Kabhi Dohraye Jaate The.
Aye Zindagi Tum Ek Nashe Ka Jam Ho Pahchan Chuke Hain Hum
Jiske Nashemein Hum Yu Hi Jiye Jaa Rahe The