Aaj Phir Sawaali Ban Ke Aa Gae Ho Aaj Na Mangou Mujh Say Kuch Be
Ke Merey Pass Tu Kuch Be Nae Bacha Yaad Hey Na Umhein
Tum Nay Zindagi Maangi Thi Or Eik Os Zidi Larki Ko
Mein Inkaar Na Ker Paya Thaa Ye Be Na Keh Paya
Ke Kise Ka Daman Khusheyoun Say Bhartay Bhartay
Wo Mujhay Kioun Bhol Gae? Aaou Deakhou
Tum Aaj Be Wese Ho Jese Thein Wo Be Mujhay Paa Ke Khush Hey
Lakn Mein Agar Haar Geya Hon Tu Kiya Howa
Tumhare Zidd Tu Pore Ho Gae Na Or Aaj Phir Kehti Ho
Ke Mein Oroun Ke Tarah Kioun Nae Mein Hansta Kioun Nae Hon
Tu A Ziddi Larki Mein Tumhein Kesay Samjhaoun
Tumhare Zidd Ka He Tu Maan Rakhtey Rakhtey
Mein Zindagi He Khoo Bheta Hon Sabhi Khush Hein
Wo B Jiski Her Manzil Mein Hon Tum B Jo Kise Ki Zindagi Ho
Or Mein Ye Sawaal Ab Rehnay Dou
Kuch Sawaal Hamesha Sawaal He Rehtey Hein