Aaj Phir Mann Mera
Ghulami Kii Chaahat Liye Hain
Woh Ghulami, Bilkul Wahi Ghulami
Jisko Ekk Mahaatma Ne Toda Tha
Kyonki Aaj Azaadi Kii Qeemat
Shayad Mere Mastisk Mein
Dhundhlee Si Ho Gayi Hain,
Sach Ko Bhii Maine Aaj Hii
Takiye Mein Rotaa Paaya,
Kal Hii To Jab Pistaulon Ko
Baazaar Mein Khula Biktaa Paaya,
Sarey-Aam Sadkon Ko Aaj
Lahoo Mein Nahaata Paaya,
Dard Ko Iss Thand Mein
Aankhon Pe Sikta Paaya.
Milega Kya Koi Jo Phir Se
Ussi Ghulami Ko Lekey Aaye,
Chupchaap Ghar Mein Rehkar
Mujhe Awaaz Bas Lagaaye,
Main Usko Khwaab De-Dunga
Jo Azaadi Ko Gugunaaye,
Usko Chaand Naya Dunga
Jo Goli Pistaul Kii Jhukaaye.