Aaj Nahi Koi Qadar Jaan-E-Insaan Ki
Inteha Ho Chali Hay Zulm-O-Jabar Ki
Hoye Mazaak Zindagi, Insaaniyat Ki
Har Ghari Ab Hay Alaamat Dahshat Ki
(Dahshat-Khaufzada)
Pari Hay Sab Ko Bas Apni Mufaad Ki
Nahi Woh Tasveer Ab Bhaichaaray Ki
Kha K Haq Karain Baat Deendaari Ki
Tarazo-E-Insaf Pe Patti Hay Daulat Ki
(Mufaad=faida, Bhaichaaray=mil Jul K Rehna, Deendaari=religious)
Hoye Hay Gair-Mehfooz Zindagi Insaan Ki
Jagah(2) Khaili Jarahi Hay Hooli Khoon Ki
Aye Nazar Ajab Yeh Tasveeer Bekhabri Ki
Maqtool Poochay Wajah Apnay Qatal Ki
(Jagah(2)=jagah Jagah, Maqtool=qatal Honay Wala)
Kya Haalat Kari Taleem-E-Paigambar Ki
Na Khauf-E-Khuda,Na Hi Fikar Anjaam Ki
Tanni Hay Asi Chaadar Har Tarf Zulmat Ki
Siyahkaaron K Haath Mein Dorr Waqt Ki
(Siyahkaaroon=gunnhayghaar)
Aman Bas Kar,Bohat Karli Batain Haq Ki
Nahi Rahi Qadar Ab Yahan Kisi Kalaam Ki
Nayi Reet Hay Yeh Bereham Zamaanay Ki
Wohi Tehray Qaatil Jo Baat Karay Amun Ki