Aaj Mujhko Huwa Yaakeen,
Ke Khuda Bhe Kahe Soya Hoga.
Dekh Kar Apne Khudaye,
Wo Bhii Zor Se Royaa Hogaa.
Socha Na Hogaa Usney Ke Jameen,
Par Kal Aisa Bhe Hoga.
Bhai-Bhai Ko Mara Key,
Khon Ke Chadar Pei Soya Hoga.
Dekh Kar Apnee Khudayee,
Wo Bhi Zor Sey Roya Hoga.
Jaha Dilo Mei Kal Basti Thee Mohabbat,
Waha Aaj Nafrat Ka Saaya Hoga.
Dekh Kar Apnee Khudayee,
Wo Bhi Zor Sey Roya Hoga.
Jaha Kal Mar Mit-Tey They Log Ek Dujey Par,
Wahi Aaj Har Maut Par Ek Jhoota Wada Hoga.
Dekh Kar Apnee Khudayee,
Wo Bhi Zor Sey Roya Hoga.
Jaha Kal Sir Jhuka Kartey They Sirf Ibadat Mei,
Kya Pata Tha Usko Ke Kal Kaha Uska Nisha Hoga.
Dekh Kar Apnee Khudayee,
Wo Bhi Zor Sey Roya Hoga.
Jaha Choodey They Kal Usney Aasma Sey Lakho Taarey,
Kay Patatha Usey Kee Kal Unka Bhi Imaan Mara Hoga.
Dekh Kar Apnee Khudayee,
Wo Bhi Zor Sey Roya Hoga.
Jis Mitti Ko Socha Tha Usney,Ke Uske Id-Gaah Hogi,
Kya Pata Tha Usey Ke Kal Usee Mitti Par Shamshan Hoga.
Dekh Kar Apnee Khudayee,
Wo Bhii Zoor Se Royoa Hoga.