Aaj Mehtvakansha Ke Is Yug Mein
Khud Ko Pichda Hua Paata Hun
Jaise Ichha Nahi Kuch Or Paane Ki
Aksar Ye Santosh Jataata Hun
Aadarshon Or Saadhnon Ke Beech
Samnjasye Nahi Kar Paata Hun
Saadhan Aabhaav Heen Banata Hain
Aadarshon Ko Andekha Karun To
Apni Aankonse Gir Jaata Hun
Bhotic Vilaspurn Ye Saadhan
Mera Bhee Sanyam Digaate Hain
Meri Chamtaon Ka Mulye Bhee To
Log Isi Se Lagate Hain
Uon To Muthibhar Khakar Bhee
Mai Santosh Jata Leta Hun
Aksar Bhavishye Ko Dekhkar
Usse Nazrein Bhee Chura Leta Hun