Aaj Likhane Jo Baithe
To Lafz. Koye Hue Se Lagte Hain
Kuch Mahsus Karne Ki Chahat Mein
Zazbat Mite Se Lagate Hain
Tasvir Koi Purani Dekhane Ki Chahat Mein
Her Taraph Dhundh Ke Badal Dikhate Hain
Koi Tasvir ,Koi Kahani Koi Kavita
De Shayad Kuch Lafz Hume
Par Her Panna Mitata Sa Lagta Hain
Purani Yaadein Fiki Padati Nahin
Nayi Yaadein Banane Mein Vaqt Lagta Hain
Dhundh Chate To Kuch Nazar Aaye
Isi Khwahish Mein Kitab Ka
Her Panna Khulta Sa Lagta Hain
Aansuon Se Sihayi Mit Gayi Hain
Pahachanane Ki Her Koshish,
Khatam Si Ho Gayi Hain
Gum Hai Kuch Na Dekh Pane Ka
Kashmakash Hai Kuch Bhulne Ya
Yaad Rakhne Ki
Nayi Khwahishen Deti Hain Dastak
Dil Ke Darwaje Par
Purani Khawahishen Mil Jati
Hai Dobara Dhundh Mein
Dil Kho Jata Hai Phir Nayi
Hasratein Jagane Mein