Aaj Ki Shaam Bhi Ek Gamon Ka Daur Leke Aayi
Fir Se Yaad Aayi Tuz Sein Jo Ki Thii Shanasaai
{Shanasaai = Mulakaat Ya Relations}
Aaj Tak Ham Jiyaa Kiye Is Bazm-E-Gair Mein
Aaj Tak Kisine Nahi Kii Meri Paziraai

{Paziraai = Acceptance}
Yuun To Taasiir Ka Nahi Hain Vaastaa Koyi Duaa Sein
Shayad Isiliye Mangi Thii Maut Aur Zindagi Paayi
{Taasiir = Effect}
Ab To Khud Hi Puucchta Huun Khud Sein Tark-E-Taalluk Ka Sabab
Ai ‘Sagar’ Bataa Tuune Bhi Kabhi Vafaa Nibhaai?