Aaj Kee Raat Qayamat Kee Raat Hogi
Jalti Aankhon Se Phir Barsaat Hogi
Narm Garm Bhigta Rahega Takiyaa
Dhundhale Lamhon Ki Phir Saugaat Hogi
Har Karvat Siskiyaan Lega Badan
Har Ik Saans Mein Utthegaa Rudan
Subuk Kirchiyon Ki Chubhan Ki
Aankhon Se Phir Mulaqaat Hogi
Kone Mein Dil Ke Na Chhupa Saka Koi
Na Qeemat Ashqon Ki Chukaa Saka Koi
Sikhaa Raha Hai Jine Ke Bahaane Naye
Nadaan Wafaat Pe Ab Kya Shuruaat Hogi?
Taa-Umr Ruh Bhatakti Rahi Akeli
Mujhse Pyaar Karne Wafaa Aayi Saheli
Bhinchi Muthhi Se Jakkad Bhi Lein Seena
Mehnge Padhe Lamhon Se Kya Nijaat Hogi?
Adaaon Mein Meri Kya Jaadu Nahin Thaa
Kya Ishq Mera Masum, Be-Gunaah Nahin Thaa
Ruk Ruk Ke Waqt-E-Khanjar Ne Taraasha Hai Mujhko
Khuda Dena -Ë—paras-‘ Ko Tu Jawaab Tujhse Bhi Baat Hogi