Aaj Ke Is Daur Mein Dhunde Se Bhi Insaan Nahi Milta
Qaatilon Ke Hujum Mil Jate Hain Ek Maherbaan Nahi Milta
Bas Gai Hai Rooh-E-Shaitani Jism-E-Insaani Mein
Har Jagah Insaan Hai Magar Phir Bhi Insaan Nahi Milta
Ek Arsa Hua Khuda Ne Bandh Kardi Guftugoo Bashar Se
Ek Hi Mila Hai Ab Tak Ke Dusra Qurran Nahi Milta
Hai Taveel Tamannaon Ka Safar Aur Tang Hai Umar;
Hai Kai Humsafar Saath Lekin Koi Nghebaan Nahi Milta
Hai Majbur Warna Rehta Na Kabhi Is Duniya Mein “Taasir”
Ke Bohat Talaash Kiya Magar Dusra Jahaan Nahi Milta