Aaj Kal Likhne Ke Siwaa Kuch Kaam Nahin Hai
Issi Liye Kalam Ko Zaraa Sa Aaraam Nahin Hai
Mere Dard Bhare Shayri Se Bhara Mera Diary
Rehne Do, Tum Par Koyi Bhi Ilzaam Nahin Hai
Bhoule Se Bhi Jo Toumko Yaad Na Kiya Meine
Aissa Koyi Din, Raat, Subhah, Shaam Nahin Hai
Daak Peti Ko Ek Hazaar Ek Baar Khola Din Ko
Mayoos To Houe Jab Tera Paighaam Nahin Hai
Nam Hein Ye Chaksh To Tumhara Kya Jaata Hai
Zaahir Hai Mere Ashk Ka Koyi Daam Nahin Hai
Moujhe Jaan Kaho,Jaanu Kaho, Acha Lagta Hai
Weisse Bhi To -ŗmushkil- Mera Naam Nahin Hai