Aaj ka din kutchh ajeeb saa nikkla
Haalaanki savera bhi huaa
Aur sooraj bhi nikkla
Raaston parr aamad-daraft bhi rahee
Aurr bazaaron mein raunaq bhi-Â…-Â…..
Dopaharr apnee tanhayiyon ko samete
Sooraj ke jaane kaa intezarr kartee rahee
Jab takk ki shaamm nein
apne hathon mein uska haath lekar
Andhere ki chadarr uske uparr daal dee
Aisa laga ki raat ho gayee
Raat bhi aayee Aasman mein chaand sitaron ka
Nazara bhi tha Thandak bhi
Lekin kahin par Kutchh na hone ka
ehsaas Bhi raha
Kutchh qami si rahee Saanson ko chalne ka Intezar hi raha
Aur dil yuhin Bewajah dhardkta raha-Â…-Â…-Â…..
Shayad Tumhaare yahan na hone ka
Ehsaas Poore din ko kuchh Ajeeb sa Kar chala-Â…-Â…-Â…-Â….