Aaj Jab Teri Khubsoorti Per Duniya Rashk Fermati Hai,
Kal Yahi Log Tere Safar Ke Humsafar Honge-
Iss Duniya Ki Daldal Me Jab Thoda Sambhal Gayaa,
Aarthi Nahi Badli To Phir Kandha Badal Diya-

Chehre Alag Alag Magar Gulaami To Wahi Hai,
Mai Kisse Aazaadi Ka Falsafaa Maangoo
Chehra Na Badal Sakaa To Mere Andaaz Badal Gaye,
Tehjeeb Badal Gayi Meri Or Mere Alfaaz Badal Gaye,
Jaane Duniya Ka Kaun Sa Rang Kal Mujhko Bhigo Gayaa,
Kab Mai Iss Daldal Me Gira Or Daldal He Ho Gayaa,
Tum Kiss Kashti Ke Aasre Baithe Ho Mere Yaar,
Kinaare Per Laata Hai Jo Dubaata Bhee Wohi Hai,
Masoomiyat ,Nadaaniyon Or Muskurahat Ke Baag Ujad Gaye,
Ye Din To Wahi Hain Lekin Mere Din Guzar Gaye,
Mujhe Taajjub Hai Ussne Kabhee Khushi To Nahi Maangi,
Mujhe Mujhse Maanga To Per Zindgi Nahi Maangi,
Ek He Pal Me Mila Ker Kyon Hataa Lee Nazar
Ehsaan Kiya He Thaa To Kuch Der Or Kerte
Tere Aane Ki Aas Me Kab Taq Youn He Jalta,
Mai To Moum Thaa Na Pighalta To Kyaa Kerta,
Suraj Se Nazren Milaaker Her Din Sulag Jaata Hai,
Jab Raat Sulag Jaaye To Iss Dil Ko Qaraar Aata Hai,
Mehfil Me Nazar Mil Jaaye To Kabhee Muskurana Mat,
Mera Qatl To Kerna Per Bade Etiyaat Se,
Kyaa Mil Gayaa Usse Meri Khwahish Ko Luut Ker,
Mera To Chain Gayaa Or Usse Chain Bhee Na Aa Sakaa,
Jahaan Chiraag Jal Utthe Ussi Ko Shaam Samajh Lo Yaar
Ye Saleeka_e_muhobbat Humko Jamaane Ne Sikhaaya Thaa,