Aaj Is Tanha Shaam Ko
Phir Wo Jamaana Yaad Aa Gaya,
Wo Behtareen Saal Jindaagi Ke
Jo Teri Aarju Mein Bita Gaya,
Teri Wo Saanvli Si Surat
Ab Tak In Nigaahon Mein Rehti Hain,
Tere Us Makaan Kii Deewarein
Gujre Waqt Kii Daastaan Kehti Hain,
Ab Tak Us Khandhar Mein
Tere Hone Kaa Ehsaas Hota Hain
Kabhii Khilkhilate Chehre To Kabhii
Teri Udaasi Kaa Aabhaas Hota Hain.
Mere Dil Mein Teri Aarju Ne
Naa Jaane Kab Dam Tod Diya,
Har Ekk Ko Shikayat Rehti Thi Tere Naam Se
Isliye Hamne, Tera Naam Tak Lena Chod Diya.