Aaj Humne Dekha Rote Huye Un Ko
Palkon Se Humne Dekha Bahte, Ek Pal Ko
Sadiyon Se Thahra Tha Jo Banke Ek Sapna
Aaj Bah Chala Hai Wo Banke Ek Jharna
Sahme Huye Se Dekhe Dil Ke Armaan
Thahre Huye Se Dekhe Labon Pe Alfaz
Aankho Mei Dekhi Ek Gahri Khamoshi
Chehre Pe Dekhi Hai Ek Dard Bhari Muskaan
Dekha Hai Aaj Humne Insaniyat Ke Buth Ko
Jisne Apne Aap Me Hi Samet Liya Hai Khud Ko
Wo Baate Wo Vade Wo Lafjon Ke Khanjar
Sabhi Kuchh To Hai Aaj Is Buth Ke Ander
Humto Hai Rahi, Rah Gujar Hi To Hai
Dekhenge Wahi Jo Dikh Jayega Humko
Chahte Hai Ki Roke Us Bahte Huye Pal Ko
Nahi Chahte Koyi Dekhe Us Rote Kamal Ko