Aaj Hum Bhi Milkar
Aisa Hi Gharonda Banayein
Dil Ko Itne Kareeb Layein,
Pyaar Ke Vo Phool Sajayein.
Mahak Jaaye Jisse Meraa Aangan
Sapne Ko Sakar Banayein
Bachche Bharen Kilkaariyan
Jab Nanhi Si Muskaan Dekhoon
Asha Ke Deepak Jagmagayein
Halke Halke Pavon Se Goojein
Payal Ki Jhankar
Munne Mein Main Tum Ko Paayun
Vishwas Ke Mein Dip Jalayoon.
Dun Apni Parchayi Beti Ko
Jo Humara Sammaan. Kahlaye
Fir Aaye Vo Suhani Ghadi
Karke Bidhai Beti Ki
Le Aayoon Ek Gudiya Payari Si
Bane Jo Izzaat Hamarii
Kare Jo Raaj Is Ghar Par
Kahlaye Vo Bahu Dulari
Deke Zimmedaari Saari
Hum Karle Yatra Ki Tyaari.
Pure Kiye Hain Kartaw Sare
Aab Ram Bhajne Ki Aayi Hai Baari.