Aaj Hamari Jaan Par Ye Dohraa Azaab Hai,
Rukh Jo Feron To Piche Se Unhi Ka Aadaab Hai.
Yun Na Dekha Karo In Aankhon Me Ithla Kar,
Dub Na Jaana Ki Piuche Be-Intehan Sailaab Hai.
Main Muhabbat Ki Bisaat Me Haar Gaya Lekin,
Shukr Hai Ki Unke Chehre Me Dilkash Ruaab Hai.
Tere Saher* Se Mera Kaisa Ye Haal Hai Sanam,
Palken Jo Jhukaaun To Bas Tera Hi Khaab Hai.
(Saher=jaadu,Asar )
Haste Hain Ahbaab* Bhi Meri Haalat Pe ‘Shaad’
Jo Hausla Deti Hai To Bas Ye Dushman Sharab Hai.
(Ahbaab=dost)
Iske Peete Hi To Wo Hamare Khayalon Me Hote Hain,
Aur Sitam Dekhiye Ki Kahte Hain Dostana Kharaab Hai.