Aaj Fursat Hain To Likhta Hoo Fasaana Apna
Warna Mohlat Kaha Milti Hain Tere Gham Ke Siwa
Jab Se Hain Chaar Nigahe Mein Hua Kaafir Hoo
Jab Se Ye Waar Mere Dil Pe Hua Ghaayal Hoo
Yaad Hain Aaj Bhee Mujhko Teri Zulfo Ki Lachak
Waa.N Se Guzra Hoo To Ab Dhoondh Raha Manzil Hoo
Apna Kehna Tujhe Kuch Is Tarah Marega Mujhe
Khud Ko Bhee Aaina Dikhlaane Se Ab Kaasir Hoo
Ek Awaargi Taree Hui Hain Dil Me Mere
Raste Chaltaa To Hu Par Raah Se Mein Ghaafil Hoo
Kal Tujhe Dekh Liya Aah! Mera Dard Gaya
Tabse Yakta Hi Mere Dil Ko Shifaa Kul Hain Hui
Main Samajhta Thaa Faqat Mein Hi Hoo Tera Jogi
Aaj Jaana, Hain Kai Teer Tere Tarkash Me
Aaj Fursat Hain To Likhta Hoo Fasaana Apna
Warna Mohlat Kaha Milti Hain Tere Gham Ke Siwa