Aaj Fir Zindagi Se Mulakat Ho Gayi.
Veraan Si Meri Duniya Jaise Abaad Ho Gayi
Poocha Jab Unhone Bade Hi Pyar Se.
Kaho Ab Tak Kaisi Hai Beeti Umar Tumhari.
Tab Honth Mere Khamosh Rahe
Par Ankhoo Ne Ankhou Ki Bhasa Pad Daali.
Diya‚  Jawab Unko Meri Ankaoo Ne Kuch Is Andaz Se.
Khamosh Se Reh Gaye Woh Bhi Pyar Ke Is Itfaque Se.
Kaha Meri Ankhaoo Ne Kuch Rangeen Sapne Hai.
Aapki Yaadon‚  Ke Ab Bhi Mere Pass.
Apni Badrang Zindagee Ko Unhi Rango Se Saza Rakha Hai.
Abhi Tak En Ankhaoo Mein Tere Liye Cheepe Aansaou Se.
Apni Marusathal Si Zindagee Ko Nam Bana Rakha Hai.
Woh Ek Unbujhi Si Aag Jo Tu Chor Gaya Tha Mere Bheetar.
Apni Baraf Hoti Bahvanaow Ko Uski Garmi Se Tapa Rakha Hai.
Ab Kaun Kare Ankahee Beete Benaam Si Zindgi Ka Hisaab.
Maine To Apni Baki Bachi Saanso Per Bhi Tera Hi Naam Likha Hai.