Aaj Desh Kii Pragati Dekhne Nikla Main,
To Mujhe Yaad Dangon Kii Aayi.
Poora Desh Ghooma Main,
Tab Saje-Dhaje Nange Pare Dikhayi.
Mandir Mein Pahuncha Main Jab,
To Kesari Wastron Mein Aaye Swami.
Par Unke Jaghanya Kritya Dekh,
Muh Se Nikla Sambodhan Bas Harami.
Bachhon Se Jab Mila Main,
To Unhe Ekk Baar Khane Ko,Rote Dekha.
Jab Aur Aage Badha To,
Sethon Ko Makhmal Par Sote Dekha.
Wridhon Se Jab Milne Pahuncha,
Unhe Gharon Mein Nahi Aashram Mein Dekha.
Bete Bahoo On Ko Maa-Baap,
Mar Chuke,Doston Se Kehte Dekha.
Phir Striyon Kii Oor Rukh Kiya,
To Maine Bahut Bara Chamatkar Hote Dekha.
Jahan Pooja Jata Tha Striyon Ko,
Wahin Par Maine Unka Balatkar Hote Dekha.
Kya Yahi Pragati Kii Hain Humne,
Aazadi Ke Anthawan Saalon Mein.
Yahi Shaan Kamayi Hain Humne Jo,
Dikhti Hain,Sharm Se Jhuka Bhalon Mein