Aaj Bhi Tanhayion Ne Aa Kar Mujhe Phir Rulaya Hai
Na Jaane Kab Se Mujhe Usne Tadpaya Hai
Is Raat Ki Subah Nahi Hai Is Rah Ki Manzil Nahi Hai
Phir Bhi Chalne Hoga Mujh Ko Is Aur Bhi Koi Nahi Hai
Us Paar Bhi Koi Nahi
Ruk Ke Kadmo Ne Jab Bhi Peeche Dekha Hai
Door Talak Koi Nazar Apna Na Aaya Hai
Pairo Ke Chand Nishan Paade Hai
Badalo Ke Ansoo Shayad Use Bhi Apne Saath Le Jayenge
Darwaze Ko Jab Bhi Hawa Ne Hilaya Hai
Meine Soacha Mere Ghar Bhi Koi Aaya Hai
Jab Kabhi Panchiyon Ne Jor Se Chechaya Hai
Meine Soacha Mere Gar Bhi Koi Apna Sa Aaya Hai
Aankho Se Jab Moti Gir Kar Hatheli Per Aa Jaate Hai
Samajh Gaye Sab Ki Dil Ko Yaad Koi Aaya Hai