Aaj Bhee Na Roye To Kayamat Hogi
Phir Silsila-E-Gum Shuru Huaa Hai
Ab Dekhiye Shayar Ki Kya Halat Hogi
Seena Tar Hai Aansun Ki Zebaai Se
Aaj Bhee Na Roye To Kayamat Hogi
Zebaai-–make Up
Sailaab-E-Ashk Tamannao Ko Duubo Chuka Hai
Khwaabon Ki Kashti Ka Koi Sahara Nahi Hai
Hasraten Pighal Gayi Na-Umeed Ki Shama Se
Aaj Phir Iss Dahar Mein‚  Koi Humara Nahi Hai
Phir Gum Apne Perwaan Chadha Hai
Phir Mujhe Khuda Se Shiqayat Hogi
Seena Tar Hai Aansun Ki Zebaai Se
Aaj Bhee Na Roye To Kayamat Hogi
Dahar–World
Apno Ke Bhes Mein Kuch Ajnabi Mil Gaye Hain
Libaas-E-Charagar Mein Qaatil Mil Gaya Hai
Kahar Ki Shouq-E-Intehaa Hi Nahi Hai
Libaas-E-Humsafar Me Qaatil Mil Gaya Hai
Karan Tumko He Nahi Hai Khud Se
Gair Ko Kya Khaak Mohabbat Hogi
Seena Tar Hai Aansun Ki Zebaai Se
Aaj Bhee Na Roye To Kayamat Hogi