Aaiye Bazaar Me Keemat Laga Kar Jaiye Bik Raha Ye Kshitiz Isko Khareed Jaiye
Main Luta Baitha Wafayein Dil Ki Saude Bazi Me Iss Bhikhari Se Duayein Kuch Khareed Jaiye
Meri Azmat Ka Tamasha Raunak E Bazaar Hai Chahta Hun Ye Nazara Gaur Kar Ke Jaiye
Ek Sharaafat Hi Bachi Hai Benawa E Yaar Mein Aap Chaahein Too Usse Neelaam Kar Ke Jaiye

Aap Mitti Bhi Nahi Dalenge Meri Kubr Par Jaiye Pahle Izaazat Uss Khuda Se Laiye
Umar Bhar Khata Raha Jo Fareb Aap Se Jaiye Pahle Izaazat Uss Zigar Se Laiye
Main Dafan Ho Jaunga Par Aap Royenge Nahi Jaiye Pahle Izaazat Aasuon Se Laiye