Aai Naseem-E-Saher
Jab Tu Uske Kooche Mein Jahiyo
To Zara Haule Se Chupke Se Jahiyo
Meri Hi Tarha Uski Bhi Saher Zada Ankhain
Shayad Be Khuwabi Se Muzmahil Hoon
To Adab Se Jhuk Ker Salam Kahiyo
Ager Mahve Khuwab Ho To
Ruk Ker Uski Betabi Khamooshi Se Padhna
Uske Labon Ki Junbish Kia Kahti Hai
Uske Papoton Ki Herkat Kia Kahti Hai
Uske Dil Ki Dhadkan Kis Ka Nam Wird Kerti Hai
Uski Khamoosh Badbadahat Kis Ki Tasbeeh Kerti Hai
Ager Mahve Tassavur Hai To
Uske Khayalon Ko Padhna
Dhadakte Dil Ki Tadap Ko Parakhna
Uske Chalakte Ansuon Ko Dekhna
Un Mein Kis Ki Tasveer Hai Kia Meri Hi Tarah
Uski Bhi Neend Roothi Hoyee Hai Kia Usko Bhi
Bhook Aur Piyaas Ka Ehsaas Nahin Hai Kia Woh Bhi
Khila Mein Kisi Ki Tasveer Taka Kerti Hai Kia Khamooshi Se
Kisi Ka Naam Likh Likh Ker Mitaya Kerti Hai
Aai Naseem-E-Saher Ja Jaldi Se Ja
Ja Ker Sari Khaber La
Is Se Pahle Ke Khaber Sunne Wala Hi
Bekhabe Na Ho Jaye Aai Naseem-E-Saher
Jab Uske Kooche Mein Jaiyo
To Bahut Chupke Se Aur Haule Se Jaiyo Kuinke
Kahin Koi Aab-E-Geena Uski Ankh Se Gir Na Jaye
Kahin Uske Shagufta Badan Ko Thaais Na Lag Jaye
Kahin Woh Mahve Ghaflat Se Chaunk Na Jaye
Kahin Uske Tassavur Ka Bharam Toot Na Jaye
Aai Naseem-E-Saher
Jab Tu Uske Kooche Mein Jaiyo
To Bahut Chupke Aur Haule Se Jaiyo