Aahista Sahi Bhula Hi Rahi Thi Mai Tujhe,
Ki Phir Tu Mera Mhotaz Ban Ne Aa Gaya
Sikh Rahi Thi Mai Chalna Akele,
Ki Phir Tu Mujhe Sahara Dene Aa Gaya
Mil Rahi Thi Yahan Khushiyaan Mujhe,
Dubara Tu Wahi Ranjish Leke Aa Gaya
Door Ho Rahi Thi Teri Yaadein Mujhse,
To Phir Nayi Khawaish Dene Tu Aa Gaya
Jala Rahi Thi Mai Diye Aangan Mein,
Achanak Sameer Banke Tu Wo Shameem Bhi Bujha Gaya
Chun Rahi Thi Mai Phool Bagiyan Se,
To Kaanta Ban Ke Tu Mera Khoon Baha Gaya
Nahi Maangi Thi Judaai Maine Tujhse,
Kyun Hamare Darmiyaan Phasley Badhate Gaya
Ab Alag Hoke Bhi Tu Phir Mujhe,
Ek Aur Baar Jine Ka Honsla Dene Aa Gaya
Kya Umeed Rakhu Mai Yaar Tujhse,
Mere Paas Jo Bhi Tha Wo Sab Tu Le Gaya
Sirf Ek Tammanna Bachi Hai Pane Ki Tujhe,
Chahe To Tu Wo Bhi Sath Leja
Na Kar “Rahman” Tu Itne Zulm Mujhpe,
Naam Sirf Mera “Rutu” Hai, Lekin Tu Mujhe Bhi Badal Gaya
Phir Bhi Tu Chahe To Aazmale Mujhe,
Abki Baar Jaan Le-Le, Pahele Tha Sirf Dil Le Gaya