Aab Bhi Nazron Mein, Zikr-E-Salaf Ki Haya Hai Baaki
Teri Khamoshi Ki, Woh Ek Jhalak Ek Adaa Hai Baaki
Wahi Rehta Hai Dil, Jo Aab Hai Mere Seene Mein
Teri Halki Si Hasi, Shoki Woh Aada Jeene Mein

Aab Bhi Halke Se Chuuti Hai Jab Gaalon Ko Hawa
Teri Honthon Ka, Halka Sa Nasha Hai Baaki
Haath Jo Pakda, Kabhi Dard Mein Tanhaayi Mein
Mazaa Aata Hai, Aab Bhi Yaar Ki Ruswaai Mein
Phir Maana Leta Hoon Tujhko Aye Mehboob Mere
Teri Hasrat Ka, Iqraar-E-Gilaa Hai Baaki
Tere *Abru Se *Taassuf Bhari Gehraayi Mein
Yunhi Bhar Aati Hai, Aankh Bhi *Ranaai Mein
Teri *Zehiin Mohabbat Ka Doon Kya Mein Silaa
Is Mohabbat Ki, Waafaon Ka Silaa Hai Baaki
Aab Bhi Nazron Mein, *Zikr-E-Salaf Ki Haya Hai Baaki
Teri Khamoshi Ki, Woh Ek Jhalak Ek Adaa Hai Baaki