‘Funny bewafai’

Aaj apni Mohabat ko naya morr diya usne,

Chat se Dhaka de k hath chorr diya usne! :O

Pehle hansta tha main ab bus muskurata hon,

Mar k Mukka agay ka daant tor diya usne! 😡

Usne ishara kiya k Kuch kehna he tumse,

Kaan paas kiya to marorr diya usne!

Sardiyan aaeen to laya maalty us bewafa k liye,

Malta kha k chilka ankhon main nichorr diya usne!

Bewafai ki had hi kar di aaj us zalim ne

Milne ghar gaye to kutta chorr diya usne.:-*