Wo jo mere dard ko apna dard kahta haiHans k zakhm jo mere apni jaa’n pe sahta haiAjnabi hua hai tu kitne dard degayaNind khwab legaya ..aah-e-sard degaya
Jubse usko paaya tha dard main kami thi kuchAnkh num tu thi lekin thori kum nami thi kuchMeri zaat ke sub ghum usko apne lagte thayUske lahje ke mosam jese sapne lagte thay
Shaam hote hi meri yaad ke daricho’n mainDard ki tapish uski sath sath ati thiOr us se milte hi phir se laut jati thiIs guma’n pe ke shayad ab nahi hun main tanha
Sath hai kisi ka ab mere safar main pinha …Par hamari qisamt main DARD hi mashiyat haiDard hi ta’assur hai .. dard hi waseeyat haiDard orhna apna..dard hi bichona hai
Dard hi pe hansna hai… dard hi pe rona hai ..!!bheeg jayen jab ankhain phir unhain chupana haiDard sahtay rahna hai …. OR ISI DARD K GALAY LAG K
AIK DIN MAR JANA HAI…!!!!