Tasveer Aisi Tooti Ke Tukde Bikhar Gaye
Jod Ke Dekha To Woh Ask Hi Na Tha
Dosti Ki Kasam Khai Thi Us Humsafar Ne
Taqdeer Ki Tasveer Main Woh Chehra Hi Na Tha
Barha Aye Hum Chook-E-Zamana Pe Bhikari Ban Ke
Mudattein Beet Gayi Kashkool Main Khushiyon Ka Sikka Bhi Na Tha
Na Suni Danishwaron Ki Naseehat Hum Ne Kabhi
Urooj Ka Ghuroor Tha Zawal Ka Imkan Bhi Na Tha
Koshish Ki Thi Hewaan Ko Barai Tak Laane Ki
Jo Lafz Dosti Na Samjha Woh Insaan Hi Na Tha
Laut Aye Hum Aakele Us Safar-E-Hayat Se
Jahan Manzil To Kia Rastoon Ka Nishan Bhi Na Tha