Farq sirf itna sa hai, US ki doli uthi meri maiyat uthi,

phool US per bhi they, phool mujh per bhi they,

mehfil wahan bhi thi , log yahan bhi the,

Un ka hansna wahan, in ka rona yahan,

sahelian us ki bhi thin, dost mere bhi they,

Do qul US k perhey, do qul mere perhey,

Qazi udher bhi tha, moulvi idher bhi tha,

WOH saj k gaya, mujhe sajaya gaya,

WOH uth k gaya, mujhe uthaya gaya,

Farq sirf itna sa hai usey APNAYA gaya,

mujhe DAFNAYA gaya