Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
Ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karein
aankhein to dushmanoun ki bhi pur_nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto

sab kuchh sahi ‘Faraz’ par itanaa zaruur hai
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto