Teer Nazron Ke, To Palko Ki Kamaan Rakhe Hain
Unki Kya Baat Hai Phoolon Ki Zubaan Rakhe Hain
Hum To Aankhon Me Sanvarte Hain Vahi Sanvrenge
Hum Nahi Jaante Aaine Kahan Rakhe Hain
Apne Kaatil Bhi Usi Roz Se Sharminda
Hum Bhi Khamosh Bahut Apni Zubaan Rakhe Hain
Dil Kabhi Ret Ka Sahil Nahi Hone Dete
Hume Mehfooz Vo Kadmo Ke Nishaan Rakhe Hain
Jin Pe Tehreer Hai Bachpan Ki Mohabbat Apni
Ab Mere Ghar Ke Vo Darwaaze Kahan Rakhe Hain
– Bashir Badr