Safar Ko Jab Bhi Kisi Dastan Mein Rakhna
Kadam Yakeen Mein Manzil Gumaan Mein Rakhna
Ja Sath Hai Vahi Ghar Ka Naseeb Hai Lekin
Jo Kho Gaya Hai Use Bhi Makaan Mein Rakhna
Ja Dekhti Hain Nigahein Vahi Nahi Sab Kuch
Ye Ehtiyat Bhi Apne Byaan Mein Rakhna
Voh Ek Khwab Jo Chehra Kabhi Nahi Banta
Bana Ke Chaand Use Aasman Mein Rakhna
Chamkate Chand Sitaron Ka Kya Bharosa Hai
Zameen Ke Chaand Use Aasman Mein Rakhna
Sawal To Bina Mehnat Ke Hal Nahi Hote
Naseeb Ko Bhi Magar Imtihan Mein Rakhna
– Nida Fazli