Koi Jata Hai Yahaan Se, Na Koi Aata Hai
Ye Diya Apne Andhere Mein Khud Hi Ghuta Jata Hai
Sab Samjhate Hain Vahi Raat Ki Kismat Hoga
Jo Sitara Ki Bulandi Pe Nazar Aata Hai
Main Isi Khoj Mein Badhta Hi Chala Jata Hoon
Kiska Aanchal Hai Jo Kohsaaron (Pahadon) Pe Lehrata Hai
Meri Aakhon Mein Hai Ik Abr (Baadal) Ka Tukda Shayad
Koi Mausam Ho Sar-E-Sham Bars Jata Hai
De Tasalli Koi, To Aankh Chhalak Uthti Hai
Koi Samjhaye To Dil Aur Bhi Bhar Aata Hai
– Bashir Badr