Bistar-E-Dil Pe Khoon Uglate Khwab
Raat Bhar Karvatein Badlate Khwab
Waqt Ki Dhoop Regzar-E-Hyat*
Barf Ki Tarah Se Pighlate Khwab
Parda-E-Noor Banke Chhaye Hain
Aasuon Ki Tarah Machlate Khwab
Bikhare Sheesho Pe Gir Ke Toot Gaye
Neend Mein Nange Paanv Chalte Khwab
Aisi Sunsan Dhopher Mein Kahan
Chand Taaron Ki Tarah Chalte Khwab
Ye Hawa-E-Haqiqat-E-Farda**
Ye Chiragon Ki Tarah Jalte Khwab
– Bashir Badr
* Regzar-E-Hyat = Jeevan Ka Marusthal, Desert of Life
** Hawa-E-Haqiqat-E-Farda = Aane Wale Kal Ki Sachai Ki Hawa