Bashir Badr Shayari Must Read
Pehla Sa Vo Zor Nahi Hai, Mere Dukh Ki Sadaon Mein
Shayad Paani Nahi Raha Hai, Ab Pyaase Dariyaon Mein
Jis Baadal Ki Aas Mein Jude Khol Liye Hain Suhagan Ne
Vo Parbat Se Sir Takrakar Baras Chuka Hai Sehraon Mein
Jaane Kab Tadpe Aur Chamke Sooni Raat Ko Fir Dass Jaye
Mujhko Ek Roop-hali Naagin Baithi Mili Hai Ghataon Mein
Patta To Aakhir Patta Tha Gunjaan Ghane Darkhton Ne
Jameen Ko Tanha Chhod Diya Hai Itni Tez Hawaon
Dinbhar Dhoop Ki Tarah Se Hum Chhaaye Rehte Hain Duniya Per
Raat Huyi To Simat Ke Aa Jaate Hain Dil Ki Goofaaon Mein
Khade Huye Jo Sahilon Per, To Dum Mein Palkein Bheeg Gayi
Shayad Aansoo Chhupe Hon Subah Ki Narm Hawaon Mein
– Bashir Badr