Apni Khoyi Huyi Jannatein Pa Gaye
Zeest* Ke Rastey Bhoolte-Bhoolte
Maut Ki Vaadiyon Me Kahin Kho Gaye
Teri Aawaz Ko Dhundhte-Dhundhte
Mast-O-Sarshaar** The Koi Thokar Lagi
Aasmaan Se Zameen Per Yon Hum Aa Gaye
Shaakh Se Phool Jaise Koi Gir Pade
Raks-E-Aawaz Per Jhumte-Jhumte
Koi Pathar Nahi Hoon Ki Jis Shakl Me
Mujhko Chaaho Banaya Bigada Karo
Bhool Jaane Ki Koshish To Ki Thi Magar
Yaad Tum Aa Gaye Bhoolte-Bhoolte
Aankhein Aansoo Bhari, Palkein Bojhil Ghani
Jaise Jheelein Bhi Hon Narm Saaye Bhi Hon
Vo To Kahiye Unhe Kuch Hansi Aa Gayi
Bach Gaye Aaj Hum Doobte-Doobte
Ab Vo Gesoo Nahi Hain Jo Saya Kare
Ab Vo Shane Nahi Jo Sahara Bane
Maut Ke Baajuon Tum Hi Aage Badho
Thak Gaye Aaj Hum Ghoomte-Ghoomte
Dil Me Jo Teer Hain Apne Hi Teer Hain
Apni Zanjeer Se Paa-B-Zanjeer Hain
Pathron Ko Humne Khuda Kar Diya
Aakhirash Raat Din Poojate-Poojate
– Bashir Badr
*Jeevan, **Mast