Andekha Anjaana Bachpan
Yaad Mujhey Jab Aata Hay
Kuch Pal Mujhey Hansata Hay
Per Har Pal Mujhey Rulata Hay
Chhotee Chhotee Batein Kuch
Dundhlee Dundhlee Yadein Kuch
Rouna Dhona Rooth Bhi Jaana
Masoumiyat Sey Sab Ko Mannana
Ghar Ka Aangan Aur Chobbara
Aksar Khwaboon Mein Mandhrata Hay
Daada Daadi Aur Naana Naani
Roze Sunayein Ik Nayi Kahani
Nanha Munna Pyara Pyara
Sab Ka Tha Mein Raaj Dulara
Abu Ka Tha Aankh Ka Tara
Ami Ka Mein Jigar Ka Para
Bachpan Guzra Aaya Ladakpan
Halla Gulla Masti Har Dam
Maloom Nahi Kab Beeta Bachpan
Palak Jhapaktey Aayi Jawani
Karney Laga Apni Man Maanni
Chaltey Badhtey Who Gadhi Bhi Aayi
Ghar Waloon Ney Meri Shaadi Rachayi
Hissey Mein Meri Ik Zimadari Aayi
Waqt Badaltey Deir Lagi Na
Meri Goud Mein Eik Bachi Aayi
Dhoond Raha Hoon Har Pal Har Soo
Uss Mein Paya Ab Bachpan Apna
Lout Kay Aaya Phir Say Bachpan Mera….
– Andrabi